khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin
aur mere pas koi chor darwaza nahin
wo samajhta tha use pa kar hi main rah jaunga
us ko meri pyas ki shiddat ka andaza nahin
ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur
tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin
koi bhi dastak kare aahaT ho ya aawaz de
mere hathon mein mera ghar to hai darwaza nahin
apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon
aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin
us ki mahfil mein unhin ki raushni jin ke charagh
main bhi kuchh hota to mera bhi diya hota nahin
tujh se kya bichhDa meri sari haqiqat khul gai
ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin
Ghazal
Khul ke milne ka saliqa aapko aata nahin
Waseem Barelvi