اردو हिंदी
Khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya | Shaahi Shayari
khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya

Ghazal

Khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya

Kausar Siwani

;

khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya
zist ne maut se jine ka chalan mang liya

phuT kar sina-e-kohsar se bahne ke liye
chashma-e-ab ne daman-e-daman mang liya

kya tajjub hai agar mang li chehre se naqab
daur-e-hazir ne to pairahan-e-tan mang liya

ban gaya halqa-e-zulmat jo paDa aks-e-zamin
chand ne KHud to nahin baDh ke gahan mang liya

jis ki aaghosh mein mazi ki amanat thi nihan
us ne manga to wahi qasr-e-kuhan mang liya

jalne walon ne bhi shahnaz-e-ghazal se 'kausar'
husn-e-fan mang liya rang-e-suKHan mang liya