اردو हिंदी
Khul gaya unki masihai ka aalam shab-e-wasl | Shaahi Shayari
khul gaya unki masihai ka aalam shab-e-wasl

Ghazal

Khul gaya unki masihai ka aalam shab-e-wasl

Hatim Ali Mehr

;

khul gaya un ki masihai ka aalam shab-e-wasl
mera dam band hai dete hain mujhe dam shab-e-wasl

jeb ke purze uDe phaT gai mahram shab-e-wasl
mere un ke raha kuchh aur hi aalam shab-e-wasl

ji mein hai kahiye moazzin se ye hamdam shab-e-wasl
yun na chiKHa karo ai qibla-e-alam shab-e-wasl

wo na soe hon juda ya na laDe hon hum se
is tarah ki hui sohbat to bahut kam shab-e-wasl

subh hote hi mujhe ashkon se munh dhona hai
mujh se aankhen na chura dida-e-pur-nam shab-e-wasl