khul gaya shayad bharam ai dil junun ke raaz ka
badla badla sa nazar aata hai ruKH dam-saz ka
gunjti hai ab bhi kanon mein sada-e-bazgasht
TuTna dil ka tha ek naghma shikasta-saz ka
mah-o-anjum mein bhi us ka husn jalwa-rez hai
aaftab ek aks hai husn-e-karishma-saz ka
ek pari-KHana hai ye shahr-e-hasin lekin yahan
koi chehra bhi nazar aaya na us andaz ka
kis qadar rangin hai tartib-e-kitab-e-zindagi
is mein afsana hai shayad tere husn-o-naz ka
shoKHiyan phulon se jab karne lagi baad-e-sahar
barha dhoka hua hai aap ki aawaz ka
apna harf-e-arzu bhi kya qayamat hai 'nazir'
dastan-dar-dastan hai harf harf us raaz ka
Ghazal
Khul gaya shayad bharam ai dil junun ke raaz ka
Nazeer Rampuri