khul gai khiDki achanak phir bhi mujh ko Dar na tha
ab meri aankhon mein koi raat ka manzar na tha
bah raha tha chaar su ek ret ka dariya magar
jis jagah par main khaDa tha rasta banjar na tha
shahr ke sare makan lagne lage hain ek se
jis makan mein bhi gaya dekha mera wo ghar na tha
yaad jab karne laga tab rang-e-mausam bhi khula
log kahte the ki tughyani bhara sagar na tha
raste 'premi' sabhi kyun kho gae gum ho gae
is se pahle itni gahri dhund ka manzar na tha
Ghazal
Khul gai khiDki achanak phir bhi mujhko Dar na tha
Premi Rumani