KHudi mera pata deti hai ab bhi
mujhe mujh se mila deti hai ab bhi
guzishta mausamon ki narm KHushbu
talluq ka pata deti hai ab bhi
kabhi rah rah ke ek gumnam KHwahish
safar ka hausla deti hai ab bhi
ye aawara-mizaji dasht-e-jaan mein
naya jadu jaga deti hai ab bhi
ummid-e-subh-e-nau har sham-e-gham mein
thakan sari miTa deti hai ab bhi
chamak KHush-rang lahje ki tumhaare
nai shamen jala deti hai ab bhi
ghazal ke dil-ruba lahje ki shoKHi
suKHan ka silsila deti hai ab bhi
Ghazal
KHudi mera pata deti hai ab bhi
Saeed Arifi