KHudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun
ada-shanas haqiqat mile koi to kahun
KHudi agar hai to hain surKH-ru hayat-o-mamat
KHudi nahin to hayat-o-mamat KHar-o-zabun
KHudi wo chiz hai nadan ki jis ke badle mein
mile jo daulat-e-kaunain bhi mujhe to na lun
alamaten hain ye sab ek mard-e-kaamil ki
KHulus-e-ruh o yaqin-e-tamam o soz-e-darun
samajh saka na samajh kar bhi aaj tak koi
ye aab-o-gil ka fasana ye aab-o-gil ka fusun
meri nazar mein hai raaz-e-darun-e-mai-KHana
magar ye soch raha hun kahun to kis se kahun
jinhen talash-e-sukun hai unhen ye kya malum
ki ek mahshar-e-KHamosh hai jahan-e-sukun
Ghazal
KHudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun
Arzoo Saharanpuri