KHudi ke zoam mein aisa wo mubtala hua hai
jo aadmi bhi nahin tha wo ab KHuda hua hai
wo kah raha tha bujhaega pyas sahra ki
mera ek abr ke TukDe se rabta hua hai
tumhaara tarz-e-bayan KHub hai magar sahab
ye qissa main ne zara muKHtalif suna hua hai
ye miTTi panw mere chhoDti nahin warna
falak ka rasta bhi samne paDa hua hai
usi ke hath pe baiat main kar ke aaya hun
jo buDha peD kaDi dhup mein khaDa hua hai
KHiraj mangta hai mujh se ye badan mera
ki lauh-e-dil pe tera nam bhi likha hua hai
wo mujh ko dekh ke rasta badal gaya 'arshad'
zara si der mein us ko ye jaane kya hua hai
Ghazal
KHudi ke zoam mein aisa wo mubtala hua hai
Arshad Mahmood Arshad