اردو हिंदी
KHudi ka raazdan ho kar KHudi ki dastan ho ja | Shaahi Shayari
KHudi ka raazdan ho kar KHudi ki dastan ho ja

Ghazal

KHudi ka raazdan ho kar KHudi ki dastan ho ja

Arsh Malsiyani

;

KHudi ka raazdan ho kar KHudi ki dastan ho ja
jahan se kya gharaz tujh ko tu aap apna jahan ho ja

bayan-e-paemali shikwa-e-barq-e-tapan ho ja
gulistan-e-jahan ke patte patte ki zaban ho ja

sharik-e-karwan hone ki go taqat nahin tujh mein
magar itni to himmat kar ki gard-e-karwan ho ja

tazalzul se bari ho tera istiqlal ulfat mein
yaqin par yaqin ho ja guman-e-be-guman ho ja

kisi surat to sharh-e-arzu-e-shauq karni hai
zaban chup hai agar ai dil to aap apni zaban ho ja

zamane par bharosa kar na raaz-e-ishq ka ai dil
jahan tak ho sake tu aap apna raaz-dan ho ja

tujhe daghon ke lakhon mah-o-anjum mil hi jaenge
uTh ai dard-e-dil par aah uTh kar aasman ho ja

kabhi to aarzi sa ek tabassum lab pe aane de
kabhi to mehrban mujh par mere na-mehrban ho ja

tere aane pe ai tir-e-nigah-e-naz main KHush hun
dil-e-betab mein aa kar hisab-e-dostan ho ja

bulandi nam se ai 'arsh' mil sakti nahin tujh ko
zamin-e-sher par auj-e-suKHan se aasman ho ja