اردو हिंदी
KHudaya hind par teri inayat ho inayat ho | Shaahi Shayari
KHudaya hind par teri inayat ho inayat ho

Ghazal

KHudaya hind par teri inayat ho inayat ho

Shyam Sunder Lal Barq

;

KHudaya hind par teri inayat ho inayat ho
baradar ko baradar se mohabbat ho mohabbat ho

na hindu ko musalman se adawat ho adawat ho
musalman ko na hindu se kudurat ho kudurat ho

teri ai phuT jis ghar mein iqamat ho iqamat ho
na kyun be-intiha us mein musibat ho musibat ho

yahi hai muddaa apna yahi hai iltija apni
watan mein raat-din yarab masarrat ho masarrat ho

sharaf is KHak ke putle ko hai insan hone ka
gharib-e-zar par jis ki inayat ho inayat ho

haqiqat mein wahi hai bahra-war ishq-e-haqiqi se
urus-e-mulk se jis ko mohabbat ho mohabbat ho

ibaadat nam hai us ka shariat hai laqab us ka
dil-o-jaan se jo KHilqat ki itaat ho itaat ho

jo ho hamdard KHilqat ka watan ka jo murabbi ho
ghazab hai zat par us ki aziyyat ho aziyyat ho

dil-o-jaan din-o-iman mulk-o-daulat par jo aadi hain
ilahi un ki aankhon mein murawwat ho murawwat ho

saza-war-e-KHitab-e-KHizr wo insan hai duniya mein
ki rah-gum-karda ki jis se hidayat ho hidayat ho

tujhe ai 'barq' hum samjhenge ahl-e-dil agar tujh se
dam-e-mushkil KHalaeq ki ianat ho ianat ho