اردو हिंदी
KHudaya hind ka raushan charagh-e-arzu kar de | Shaahi Shayari
KHudaya hind ka raushan charagh-e-arzu kar de

Ghazal

KHudaya hind ka raushan charagh-e-arzu kar de

Shyam Sunder Lal Barq

;

KHudaya hind ka raushan charagh-e-arzu kar de
yad-e-qudrat se is ko bagh-e-jannat hu-ba-hu kar de

shamim-e-lutf se KHak-e-watan ko mushkbu kar de
hara abr-e-karam se is ka naKHl-e-arzu kar de

hamare dagh-e-isyan ki KHudaya shust-o-shu kar de
farishta surat-e-insan mein hum ko hu-ba-hu kar de

sitara hind ka chamke siyah-baKHti miTe yarab
jo qaumen is mein pisti hain unhen to sulh-ju kar de

nahin yara hai mujh ko raaz-e-dil izhaar karne ka
ata taqat zaban ko ab bara-e-guftugu kar de

yahi hai aarzu apni yahi hai muddaa apna
jo ahl-e-hind hain yarab unhen to surKH-ru kar de

ada dil se karenge shukr sab ahl-e-watan yarab
mai-e-ishrat se jo un ka liya lab to subu kar de

teri chuTki mein rishta hai teri chuTki mein sozan hai
KHudaya hind ke chaak-e-gareban ko rafu kar de

adab se 'barq' ki har-dam yahi tujh se guzarish hai
hamare mulk ko sare jahan mein nam-ju kar de