KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh
hamare jism mein ek ruh to hamari rakh
isi bahane hi shayad tera KHayal rakhe
tu apne aap pe duniya ki kuchh udhaari rakh
tamam KHwab tere gal na jaen is mein hi
yun har samay na mere yar aankhen khaari rakh
lahu se byaj chukana paDega ab tujh ko
diya ye mashwara kis ne ki jaan udhaari rakh
talash karna paDe hansne ka sabab tujh ko
ai zindagi na tu itni bhi hoshiyari rakh
bikhar rahi hai magar kya pata sambhal jae
tu is kahani mein ab dastan hamari rakh
na jaane kaun wibhishan use bata aaya
hai meri jaan usulon mein choT jari rakh
qalam udas hai sahme hue hain sare waraq
gham-e-hayat na yun shairi pe tari rakh
juda hua hai to saman bhi alag kar le
mujhe faqiri de aur apni taj-dari rakh
wafa KHulus dagha jhuT sab main dekhun to
tu mere samne har chiz bari bari rakh
mashini daur mein jazbaat kya bayan karna
chhupa ke yar tabassum mein be-qarari rakh
kuchh ek raaz to wajib hain is jahan ke liye
har ek baat na 'azad' ishtihaari rakh
Ghazal
KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh
Imran Husain Azad