KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala
main do baadam-e-chashm-e-lutf par dil bechne wala
dono aalam se mashrab mast-e-wahdat ka hai nirwala
mere ek hath mein tasbih hai ek hath mein pyala
nahin is sal wo KHunin-nayan bhure alak wala
lago lala ko aag aur ho jo na-farman ka munh kala
wo shirin-lab ka bosa kyunke chhoDe mujh sa matwala
ki jun lala bichhaDte us dahan se dagh ho pala
nahin farigh main baad-az-marg bhi soz-e-mohabbat se
mera KHun daman-e-qatil mein hoga dagh jun lala
wo na-farman bana KHun-e-jigar se mai na pi uzlat
kabab-e-dil ki bu aati hai har pyale se jun lala

Ghazal
KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala
Wali Uzlat