KHuda se use mang kar dekhte hain
phir apni dua ka asar dekhte hain
hamin hain musafir hamin aabla-pa
tamasha ai gard-e-safar dekhte hain
faqiri faqiri faqiri faqiri
na jannat na duniya na ghar dekhte hain
idhar aa ai husn-e-tamanna idhar aa
nazar bhar tujhe ek nazar dekhte hain
kisi aks mein ab wo bandhenge mujh ko
chura kar nazar shishagar dekhte hain
na jaane kahan miT gae naqsh-e-jaan
chalo aaj phir soch kar dekhte hain
hamare hi ghar se nikalta hai aksar
jise log sham-o-sahar dekhte hain
kaDa imtihan chaak par tha nazar ka
abhi tak wo raqs-e-hunar dekhte hain
Ghazal
KHuda se use mang kar dekhte hain
Renu Nayyar