KHuda se bhi kab koi furqat kaTi hai
shab-e-hijr shab se bhi pahle bani hai
main ek KHwab hun tera dekha hua hun
tu ek nind hai mujh mein soi paDi hai
hawas to nahin hai magar ye thi sach hai
mujhe tujh badan ki tamanna rahi hai
mujhe is se aazad kar dusri la
ye zanjir pairon mein kam bolti hai
main apne gunahon pe nadim nahin hun
ye tauba to teri mohabbat mein ki hai

Ghazal
KHuda se bhi kab koi furqat kaTi hai
Naeem Sarmad