KHuda rakkhe tujhe meri burai dekhne wale
wafadari mein tarz-e-bewafai dekhne wale
sambhal ab nala-e-dil ki rasai dekhne wale
qayamat Dhaenge roz-e-judai dekhne wale
tere KHanjar ko bhi teri tarah hasrat se takte hain
teri nazuk kamar nazuk kalai dekhne wale
jhijak kar aaine mein aks se apne wo kahte hain
yahan bhi aa gae surat parai dekhne wale
palak jhapki ki dil ghaeb baghal KHali nazar aai
teri nazron ki dekhenge safai dekhne wale
inhin aankhon se tu ne nek-o-bad aalam ka dekha hai
idhar to dekh ai sari KHudai dekhne wale
gire ghash kha ke jab musa kaha barq-e-tajalli ne
qayamat tak na dega wo dikhai dekhne wale
meri mayyat pe ban aai hai un ki sab se kahte hain
wafadaron ki dekhen bewafai dekhne wale
nazar milti hai pichhe pahle tanti hain bhanwen un ki
kahan tak dekhe jaen kaj-adai dekhne wale
miTa inkar to hujjat ye nikli munh dikhane mein
ki pahle jama kar den ru-numai dekhne wale
kahan tak roen qismat ke likhe ko bas ulaT parda
tujhe dekhenge ab teri KHudai dekhne wale
kabhi qadmon mein tha ab un ke dil mein hai jagah meri
mujhe dekhen muqaddar ki rasai dekhne wale
koi itna nahin jo aa ke puchhe hijr mein 'beKHud'
tera kya haal hai ranj-e-judai dekhne wale
Ghazal
KHuda rakkhe tujhe meri burai dekhne wale
Bekhud Dehlvi