KHuda-parast hue na hum but-parast hue
kisi taraf na jhuka sar kuchh aise mast hue
jinhen ghurur bahut tha namaz roze par
gae jo qabr mein sare wuzu shikast hue
ghurur kar ke nigahon se gir gae maghrur
buland jitne hue utne aur past hue
raha KHumar ke sadme se chur shisha-e-dil
magar na sail-e-mai tere mai-parast hue
taDap dikha na use 'bahr' mahi-e-dil ki
ghazab hua jo wo tar-e-nigah shast hue
Ghazal
KHuda-parast hue na hum but-parast hue
Imdad Ali Bahr