اردو हिंदी
KHuda-parast hue hum na but-parast hue | Shaahi Shayari
KHuda-parast hue hum na but-parast hue

Ghazal

KHuda-parast hue hum na but-parast hue

Imdad Ali Bahr

;

KHuda-parast hue hum na but-parast hue
kisi taraf na jhuka sar kuchh aise mast hue

jinhen ghurur bahut tha namaz roze par
gae jo qabr mein sare wuzu shikast hue

hamare dil mein jo wahshat ne aag bhaDkai
sharar bhi rah gae pichhe ye garm jast hue

jo apne wade wafa wo kare karam us ka
ki hum se to na wafa wada-e-alast hue

ghurur kar ke nigahon se gir gae maghrur
buland jitne hue utne aur past hue

raha KHumar ki sadme se chur shisha-e-dil
magar na sail-e-mai tere mai-parast hue

lagae KHar lagin TaTTiyan bhi mehndi ki
ruke na bu-e-chaman lakh band-o-bast hue

KHizan mein bhi na chhuTa daman-e-chaman hum se
hue jo sukh ke kanTa to KHar-bast hue

bana hai panja-e-qassab dast-e-zulm un ka
sab ungliyan huin chhuriyan ye tez dast hue

habab se bhi habibon ke dil mein nazuk-tar
nazar ke bhi jo lage Thes ye shikast hue

taDap dikha na ise 'bahr' mahi-e-dil ki
ghazab hua jo wo tar-e-nigah shast hue