KHuda par hi sada iman rakhna
bahar-surat usi ka dhyan rakhna
talluq KHatm to tum kar rahe ho
magar kuchh sulh ka imkan rakhna
milao hath sab khul ke lekin
mizajon ki bhi kuchh pahchan rakhna
ajab fitrat kisi ki ho gai hai
nigahon ko meri hairan rakhna
kaThin hai rah sachchai ki 'qaisar'
hatheli par hamesha jaan rakhna

Ghazal
KHuda par hi sada iman rakhna
Noorul Ain Qaisar Qasmi