KHuda-malum kis ki chand se taswir miTTi ki
jo goristan mein hasrat hai gareban-gir miTTi ki
nawazi sarfaraazi ruh ne taswir miTTi ki
KHusha-tale KHusha-qismat KHusha-taqdir miTTi ki
haqiqat mein ajaib-shobada-pardaz-e-duniya hai
ki jo insan ki surat tha wo hai taswir miTTi ki
jise ruya mein dekha tha milaya KHak mein us ne
muqaddar ne hamare KHwab ki tabir miTTi ki
mazaron mein dikha kar ustuKHan hasrat ye kahti hai
koi pursan nahin un ka ye hai tauqir miTTi ki
ye nahaq barhami hai KHaksaron ke ghubaron se
KHarabi aandhiyon ne ki hai be-taqsir miTTi ki
wo wahshi tha ki mar ke bhi na maidan-e-junun chhuTa
meri mayyat rahi sahra mein daman-gir miTTi ki
na li turbat ko gulshan mein jagah li bhi to sahra mein
riyazat sab hamari tu ne ai taqdir miTTi ki
mere sayyaad ne jis jis jagah tuda banaya tha
wahan ja ja ke bu lete phire naKHchir miTTi ki
azal ke roz se ghash hain jo insan KHaksari par
sarisht un ki hai miTTi se ye hai tasir miTTi ki
ye aalam ho gaya hai jamte jamte gard-e-sahrai
ki majnun puchhta hai kya ye hai zanjir miTTi ki
hamare KHak ke tude ko nabud aa ke kar denge
nishani bhi na chhoDenge tumhaare tir miTTi ki
ijazat se tumhaari guftugu ki sang-rezo ne
barabar sunne walon ne suni taqrir miTTi ki
gali mein yar ki aise hue ho gard-aluda
ki bilkul ho gae ho ai 'sharaf' taswir miTTi ki
Ghazal
KHuda-malum kis ki chand se taswir miTTi ki
Agha Hajju Sharaf