اردو हिंदी
KHuda ko DhunD raha tha kahin KHuda na mila | Shaahi Shayari
KHuda ko DhunD raha tha kahin KHuda na mila

Ghazal

KHuda ko DhunD raha tha kahin KHuda na mila

Behzad Lakhnavi

;

KHuda ko DhunD raha tha kahin KHuda na mila
zahe-nasib ki bande ko muddaa na mila

nigah-e-shauq mein be-nuriyon ka rang baDha
nigah-e-shauq ko jab koi dusra na mila

hum apni be-KHudi-e-shauq par nisar rahe
KHudi ko DhunDh liya jab hamein KHuda na mila

tumhaari bazm mein lab khol kar hua KHamosh
wo bad-nasib jise koi aasra na mila

har ek zarre mein main KHud to aa raha tha nazar
ajib baat tumhaara kahin pata na mila

bas ek sukun hi hum ko na mil saka ta-umr
wagarna tere tasadduq mein hum ko kya na mila

teri nigah-e-mohabbat-nawaz hi ki qasam
ki aaj tak to hamein tujh sa dusra na mila

tera jamal fazaon mein muntashir tha magar
nigah-e-shauq ko phir bhi tera pata na mila

hazar Thokaren khain hazar su 'bahzad'
jahan-e-husn mein koi bhi ba-wafa na mila