KHuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya
mere siwa na kisi aur ne qubul kiya
agarche ek qabile ke fard hain donon
tujhe gulab banaya mujhe babul kiya
kabhi ye gham ki adhura raha hamara kaam
kabhi ye soch ki jitna kiya fuzul kiya
hawa ne gard uDai hai barha meri
palaT palaT ke zamin ne mujhe qubul kiya
har ek zaKHm ko baKHshi gulab ki surat
badan ki sej pe kanTon ko hum ne phul kiya
suna rahe hain shajar ruKHsat-e-bahaar ka sog
samar to kya koi patta nahin qubul kiya
kisi ko KHad se ziyaada na mohtasib jaana
faqat zamir ki aawaz ko usul kiya
Ghazal
KHuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya
Mukhtar Javed