KHuda ki qasam phir to kya KHair howe
hum aur tum akele hon aur sair howe
karen ghair ka shikwa kis taur phir hum
na apne siwa jab koi ghair howe
ziyarat karen dil mein kabe ki apne
jo mujh sa koi sakin-e-dair howe
mile aise zardar se kis ki juti
na tayyar jis se tera pair howe
agar KHamushi ko main goyai likkhun
to diwan mera mantiquttair howe
hua KHasm-e-jaan 'mushafi' wo to tera
na insan ko insan se bair howe
Ghazal
KHuda ki qasam phir to kya KHair howe
Mushafi Ghulam Hamdani