KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai
maza hai nekiyon mein kya qalandar jaanta hai
bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab
mere zaKHmon ki haalat ko rafugar jaanta hai
kisi se main nahin kahta magar meri gharibi
meri diwaron ka ukhDa plastar jaanta hai
kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera
dharam insaniyat ka bas kabutar jaanta hai
sanam teri judai mein kaTa hai waqt mushkil
gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai
kahin bhar peT roTi to kahin se hath KHali
kisi ki kaisi hai niyyat gadagar jaanta hai
main pyasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki
bahut KHuddar hun main ye samundar jaanta hai
kisi bhi waqt ye mazlum kar denge baghawat
sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai
rahen arthi se bahar hath us ka qaul hai ye
na kuchh bhi sath jaega sikandar jaanta hai
tumhaari yaad mein raaten kaTi hain mushkilon se
raha hun kitna main bechain bistar jaanta hai
na hoga dusra paida jahan mein koi gandhi
bahut achchhi tarah se porbandar jaanta hai
yahan hai bhiD mein bhi kis qadar har shaKHs tanha
tumhaare shahr ka har ek manzar jaanta hai
'ahad' jine ko to sab ji rahe hain is jahan mein
magar is zist ka matlab suKHnawar jaanta hai
Ghazal
KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai
Amit Ahad