KHuda KHamosh bande bolte hain
baDe chup hon to bachche bolte hain
suno sargoshiyan kuchh kah rahi hain
zaban-bandi mein aise bolte hain
mohabbat kaise chhat par jae chhup kar
qadam rakhte hi zine bolte hain
nashe mein jhumne lagte hain mani
to lafzon mein karishme bolte hain
ye hum zindon se mumkin hi nahin hai
jo kuchh murdon se murde bolte hain
hum insanon ko aata hai bas ek shor
tarannum mein parinde bolte hain
KHamoshi sunti hai jab apni aawaz
to sinon mein dafine bolte hain
main paighambar nahin hun phir bhi mujh mein
kai gum-sum sahife bolte hain
yahi hai waqt bolo 'farhat-ehsas'
ki har jaanib kamine bolte hain
Ghazal
KHuda KHamosh bande bolte hain
Farhat Ehsas