اردو हिंदी
KHuda ke waste chehre se Tuk naqab uTha | Shaahi Shayari
KHuda ke waste chehre se Tuk naqab uTha

Ghazal

KHuda ke waste chehre se Tuk naqab uTha

Shah Naseer

;

KHuda ke waste chehre se Tuk naqab uTha
ye darmiyan se ab parda-e-hijab uTha

ye kaun baada-parasti hai ai but-e-bad-mast
uTha jo bazm se teri so ho kabab uTha

mutalee se tere bait-abruon ke shoKH
rakkhi hai shaiKH ne ab taq par kitab uTha

basan-e-naqsh-e-qadam jis ne pa-turab kiya
wo rah-e-ishq mein miT kar gharaz shitab uTha

ba-chashm-e-tar hi koi dam tu baiTh warna abas
tu ek dam ke liye bahr se hubab uTha

piya hai shisha-e-gardun se jis ne ek jura
misal-e-jam wo ba-dida-e-pur-ab uTha

'nasir' shor na kar fitna howega barpa
KHuda-na-KHwasta ab gar wo mast-e-KHwab uTha