KHuda ke waste ab be-ruKHi se kaam na le
taDap ke phir koi daman ko tere tham na le
bas ek sajda-e-shukrana pa-e-saqi par
ye mai-kada hai yahan par KHuda ka nam na le
wafa to kaisi jafa bhi nahin hai ab hum par
ab itna saKHt mohabbat se intiqam na le
zamane bhar mein hain charche meri tabahi ke
main Dar raha hun kahin koi tera nam na le
miTa do shauq se mujh ko magar kahin tum se
zamana meri tabahi ka intiqam na le
main jaanun jab ki bujha de tishnagi dil ki
wagarna aaj se dariya dili ka nam na le
nahin wo husn jo aashiq ko shad-kaam kare
nahin wo ishq jo nakaamiyon se kaam na le
jise tu dekh le ek bar mast nazron se
wo umr bhar kabhi hathon mein apne jam na le
rakhun umid-e-karam us se ab main kya 'sahir'
ki jab nazar se bhi zalim mera salam na le

Ghazal
KHuda ke waste ab be-ruKHi se kaam na le
Sahir Bhopali