KHuda kare to kisi raaz ka amin na bane
guman guman hi rahe aur kabhi yaqin na bane
tujhe ye shauq ki parwaz ho buland apni
mujhe ye Dar ki kabhi aasman zamin na bane
ye baat aur hai koshish hazar ki hum ne
hamare sher tumhaari tarah hasin na bane
ye alamiya hai hamara ki hum ba-har-surat
tamasha-gah rahe aur tamash-bin na bane
ajab wo ghurbat-e-diwar-o-bar-o-dar thi ki hum
makan mein rahe lekin kabhi makin na bane
uThao hath dua ko to ehtiyat rahe
ye hath uTh ke kabhi nang-e-astin na bane
Ghazal
KHuda kare to kisi raaz ka amin na bane
Moosa Raza