KHuda kare ki nazar kaamyab ho jae
teri nazar mein mera intiKHab ho jae
wo samne mere be-parda aa gae lekin
maza to jab hai ki phir se hijab ho jae
kiye the wasl ke wade hazar tum ne magar
main aaj aa hi gaya lo hisab ho jae
bikher ruKH pe zara apne is tarah zulfen
ki zulf chehre pe tere naqab ho jae
ilahi wasf ho dil mein to mere itna ho
bharun jo chullu mein pani sharab ho jae
Ghazal
KHuda kare ki nazar kaamyab ho jae
Siddiq ahmad Nizami