KHuda jaane kahan hai 'asghar'-e-diwana barson se
ki us ko DhunDhte hain kaba o but-KHana barson se
taDapna hai na jalna hai na jal kar KHak hona hai
ye kyun soi hui hai fitrat-e-parwana barson se
koi aisa nahin ya rab ki jo is dard ko samjhe
nahin malum kyun KHamosh hai diwana barson se
kabhi soz-e-tajalli se use nisbat na thi goya
paDi hai is tarah KHakistar-e-parwana barson se
tere qurban saqi ab wo mauj-e-zindagi kaisi
nahin dekhi ada-e-laghzish-e-mastana barson se
meri rindi ajab rindi meri masti ajab masti
ki sab TuTe paDe hain shisha o paimana barson se
hasinon par na rang aaya na phulon mein bahaar aai
nahin aaya jo lab par naghma-e-mastana barson se
khuli aankhon se hun husn-e-haqiqat dekhne wala
hui lekin na taufiq-e-dar-e-but-KHana barson se
libas-e-zohad par phir kash nazr-e-atish-e-sahba
kahan khoi hui hai jurat-e-rindana barson se
jise lena ho aa kar us se ab dars-e-junun le le
suna hai hosh mein hai 'asghar'-e-diwana barson se
Ghazal
KHuda jaane kahan hai asghar-e-diwana barson se
Asghar Gondvi