KHuda hua na koi aur hi gawah hua
likha jo harf to hone ka ishtibah hua
nawah-e-ishq talak khinchti gai KHushbu
ek aisa gul meri sanson pe iftitah hua
ye kya hawas hai ki milta mujhe ziyaada wo
mere liye to wo itna bhi be-panah hua
ajib kiya hai ki tum se nahin nibhi meri
mera to KHud se bhi kam hi kabhi nibah hua
kabhi kabhi tere dil tak pahunch gaya mera dard
kabhi hua to yahi ishq mein gunah hua
kisi bhi rang mein khinchti na thi meri taswir
main ban gaya koi kaghaz agar siyah hua

Ghazal
KHuda hua na koi aur hi gawah hua
Syed Kashif Raza