اردو हिंदी
KHuda hi pahunche fariyaadon ko humse be-nasibon ke | Shaahi Shayari
KHuda hi pahunche fariyaadon ko humse be-nasibon ke

Ghazal

KHuda hi pahunche fariyaadon ko humse be-nasibon ke

Wali Uzlat

;

KHuda hi pahunche fariyaadon ko hum se be-nasibon ke
hamare dil kabab aur tu piye pyale raqibon ke

KHizan mein barg-e-gul aur KHar-o-KHas nahin sehn-e-gulshan mein
paDe hain laKHt-e-dil aur TuTe nale andalibon ke

bahaar aai diwano sunte ho bulbul ki fariyaaden
ye aawaze hain fauj-e-mausam-e-gul ke naqibon ke

ilahi de nigah-e-lutf KHush-chashmon ko ek pal bhi
ki hum bimar mar gae naz uThate in tabibon ke

nagin ke tarz phir jata hai nam-e-'uzlat' us lab par
asar mein be-suKHan mere hain bargashta nasibon ke