KHuda bhi taraf-dar nikla tumhaara
ye jhagDa chuka ab hamara tumhaara
buto shauq-e-didar se sar na chaDhna
nazara kisi ka tamasha tumhaara
baDe ba-haya aur parda-nashin ho
hai har ku-o-barzan mein charcha tumhaara
ulu mein hi jhuTa hun paiman-shikan hun
nahin ab to kuchh mujh se shikwa tumhaara
dil aae na kyun kyun na iman jae
ye surat tumhaari ye ghamza tumhaara
dil-o-jaan 'kaifi' hai qurban tum par
nahin is se inkar zeba tumhaara
Ghazal
KHuda bhi taraf-dar nikla tumhaara
Dattatriya Kaifi