KHuda bhi meri tarah ba-kamal aisa tha
tarasha us ko jo mere KHayal aisa tha
har ek lamha yahi Dar tha kho na jae kahin
raha wo pas magar ehtimal aisa tha
tha titliyon ke paron sa latif us ka badan
jo tab-e-lams na rakkhe jamal aisa tha
pighalti chandi tha nisf-un-nahaar par jab tha
bikharta sona tha suraj zawal aisa tha
jhukae rakhta tha palken wo baaten karte hue
kahan ka shoKH tha KHalwat mein haal aisa tha
labon se phuT baha git siskiyan ban kar
ki lafz lafz mein us ke malal aisa tha
hue asir to phir umr bhar riha na hue
hamare gird talluq ka jal aisa tha
Ghazal
KHuda bhi meri tarah ba-kamal aisa tha
Anvar Mahmood Khalid