KHuda asar se bachae is aastane ko
dua chali hai meri qismat aazmane ko
na puchhiye ki mohabbat mein mujh pe kya guzri
na chheDiye mere bhule hue fasane ko
ye shobade ye karishme kise mayassar the
teri nigah ne sikhla diye zamane ko
chaman mein barq ne jhanka ki hum laraz uThe
ab is se aag hi lag jae aashiyane ko
KHayal-e-yar bhi khoya hua sa rahta hai
ab un ki yaad bhi aati hai bhul jaane ko
nigah-e-lutf na farma nigah-e-naz ke baad
jigar mein aag laga kar na aa bujhane ko
zamana bar-sar-e-azar tha magar 'fani'
taDap ke hum ne bhi taDpa diya zamane ko
Ghazal
KHuda asar se bachae is aastane ko
Fani Badayuni