KHud uTh ke hath mere gareban mein aa gae
shayad qadam junun ke gulistan mein aa gae
is ke siwa bataen asiri ka kya sabab
ghabrae anjuman se to zindan mein aa gae
kya hoga chaar phulon se ai mausam-e-bahaar
ye to hamare gosha-e-daman mein aa gae
josh-e-bahaar aur ye be-iKHtiyariyan
su-e-chaman chale the bayaban mein aa gae
'simab' kibr-o-naz ka anjam kuchh na puchh
sab rafta rafta gor-e-ghariban mein aa gae
Ghazal
KHud uTh ke hath mere gareban mein aa gae
Seemab Akbarabadi