KHud tark-e-muddaa par majbur ho gaya hun
taqdir ke likhe se mazur ho gaya hun
apni KHudi ki dhun mein mansur ho gaya hun
KHud ban gaya hun jalwa KHud tur ho gaya hun
un ko bhula raha hun wo yaad aa rahe hain
kis darja dil ke hathon majbur ho gaya hun
sab miT gain umiden sab pis gain umangen
dil ki shikastagi se KHud chor ho gaya hun
pachhta raha hun un ko furqat mein yaad kar ke
wo pas aa gae hain main dur ho gaya hun
mayus ho chuka hun ummid ki jhalak se
main jabr karte karte majbur ho gaya hun
'talib' shikast-e-dil ki ek aaKHiri sada par
duniya samajh rahi hai mansur ho gaya hun

Ghazal
KHud tark-e-muddaa par majbur ho gaya hun
Talib Baghpati