KHud se na-KHush ghair se bezar hona tha hue
hum ko gard-e-kucha-o-bazar hona tha hue
jin ki sari zindagi darbar-dari mein kaTi
un ko ruswa bar-sar-e-darbar hona tha hue
hum mein kuchh rindan-e-KHush-auqat aise the jinhen
jaanashin-e-jubba-o-dastar hona tha hue
hum kabhi shamshir-e-jauhar-dar the lekin hamein
dast-e-nahanjar mein talwar hona tha hue
apna ghar ji khol kar taraj karna tha kiya
apne hathon KHud hamein mismar hona tha hue
jin ko sari zindagi zom-e-masihai raha
un ko aaKHir ek din bimar hona tha hue
tum sar-e-sahil Dubo baiThe ho 'mohsin' kashtiyan
jin safinon ko samundar par hona tha hue
Ghazal
KHud se na-KHush ghair se bezar hona tha hue
Mohsin Ehsan