KHud se itni bhi adawat to nahin kar sakta
ab koi mujh se mohabbat to nahin kar sakta
kyun nibhaega wo paiman-e-wafa mujh se ki wo
sari duniya se baghawat to nahin kar sakta
go wo mujrim hai mera phir bhi kisi shaKHs se main
apne dilbar ki shikayat to nahin kar sakta
do-ghaDi sans to lene de mujhe ai gham-e-dahr
koi har aan mashaqqat to nahin kar sakta
KHas hota hai kisi ka koi manzur-e-nazar
koi har ek pe inayat to nahin kar sakta
kaise likkhun main andhere ko ujala 'kashif'
apne fan se main KHayanat to nahin kar sakta
Ghazal
KHud se itni bhi adawat to nahin kar sakta
Kashif Rafiq