KHud se inkar ko ham-zad kiya hai main ne
main wahi hun jise barbaad kiya hai main ne
zulm andhere ka to surat meri tamir ki hai
raushni ka sitam ijad kiya hai main ne
koi karta ho jo diwar-e-faramoshi ko par
us se kah de ki use yaad kiya hai main ne
ab nikalta hi nahin is qafas-e-hal se kabhi
isi aaghosh ko sayyaad kiya hai main ne
mil ke shaitan se likha li ye zamin nam apne
phir ise mulk-e-KHuda-dad kiya hai main ne
farhat-ullah ko khola hai ba-andaz-e-ghazal
'farhat-ehsas' ko aazad kiya hai main ne
yaad aati hai to phir soch mein paD jata hun
sochta rahta hun kya yaad kiya hai main ne
fard ke lafz ko thi kasrat-e-mani ki talash
so use khol ke afrad kiya hai main ne
meri miTTi to kunwari ki kunwari hi rahi
jism ko sahib-e-aulad kiya hai main ne
us ke do husn hain karigari-e-KHak se ek
aur ek wo jise ijad kiya hai main ne
aap ka hi to tha israr kuchh irshad karo
aap hi chup hain jo irshad kiya hai main ne
Ghazal
KHud se inkar ko ham-zad kiya hai maine
Farhat Ehsas