KHud se hua juda to mila martaba tujhe
aazad ho ke mujh se magar kya mila tujhe
ek lahza apni aankh mein tu jhank le agar
aaun nazar mein bikhra hua ja-ba-ja tujhe
tha mujh ko tera phenka hua phul hi bahut
lafzon ka ehtimam bhi karna paDa tujhe
ye aur baat main ne sadaen hazar din
aai na dasht-e-haul se ek bhi sada tujhe
tu ne bhi KHud ko markaz-e-alam samajh liya
lag hi gai zamane ki aaKHir hawa tujhe
kya qahr hai ki rangon ke is izhdiham mein
juz rang-e-zard aur na kuchh bhi mila tujhe
nazron ne tar tar kiya aasman tamam
aai na ras taron bhari ye rida tujhe
daim rahe safar mein tera naqa-e-KHayal
deta rahun main roz yahi bad-dua tujhe
kahne ko chand gam tha ye arsa-e-hayat
lekin tamam umr hi chalna paDa tujhe
Ghazal
KHud se hua juda to mila martaba tujhe
Wazir Agha