KHud se bhi wo Darta hoga
wo bhi mere jaisa hoga
zaKHm-e-jigar se jo Tapka hai
us ki aankh se bahta hoga
sochon mein aae chupke se
nange panw chalta hoga
dar pe dastak dene wala
us ki yaad ka jhonka hoga
mahak uTha hai mera badan bhi
KHushbu mein wo rahta hoga
sath-e-ab pe ek chehra hai
lahron mein wo rahta hoga
ab to KHwab jaziron mein wo
yaad ke kankar chunta hoga
khoya khoya sa KHud main hi
logon se wo milta hoga
dekh ke girte patton ko wo
pahron baiTh ke rota hoga
dasht-e-gham ke sannaTe mein
wo bhi tanha tanha hoga
dil mein chhupa kar meri yaaden
pahron nazmen likhta hoga
mast hawaon se hi 'umar' wo
mere naghme sunta hoga

Ghazal
KHud se bhi wo Darta hoga
Khalid Mahmood Amar