KHud se bhi ek baat chhupaya karta hun
apne andar ghair ko dekha karta hun
apni surat bhi kab apni lagti hai
aainon mein KHud ko dekha karta hun
armanon ke rup-nagar mein rah kar bhi
KHud ko tanha tanha paya karta hun
gulshan gulshan sahra sahra barson se
aawara aawara ghuma karta hun
farzi qisson jhuTi baaton se akasr
sachchai ke qad ko napa karta hun
Ghazal
KHud se bhi ek baat chhupaya karta hun
Tanveer Samani