KHud se apna aap milaya ja sakta hai
tanhai ka hath baTaya ja sakta hai
KHamoshi jab hamla-awar hona chahe
chaurahe par shor machaya ja sakta hai
hairani ka qarz chukana paD jae to
aankhon ka ehsan uThaya ja sakta hai
dharti par kuchh sabz ruton ka bhes badal kar
charwahe ka KHwab churaya ja sakta hai
un ki tera zulfon se tashbihen de kar
shab ko rah-e-rast pe laya ja sakta hai
na-mumkin hai pani par taswir banana
lekin us par sher banaya ja sakta hai
bhula ja sakta hai KHud ko barson barson
roz kisi ko yaad bhi aaya ja sakta hai

Ghazal
KHud se apna aap milaya ja sakta hai
Sarfraz Zahid