KHud sawal aap hi jawab hun main
zindagi ki khuli kitab hun main
yun to ek jura-e-sharab hun main
gardish-e-waqt ka jawab hun main
justaju-e-sukun-e-dil thi mujhe
gharq-e-dariya-e-iztirab hun main
meri qimat hai pyar ke do-bol
kitne saste mein dastiyab hun main
kabhi naghma-taraaz tha main bhi
aaj TuTa hua rabab hun main
ranj gham dard be-kasi hasrat
'mir' ka jaise intiKHab hun main
kaun mujh par yaqin laega
apni nazron mein KHud sarab hun main
pahle sailab se pareshan tha
ab ki mahw-e-talash-e-ab hun main
muKHtalif rang hain mere 'abid'
kabhi jalwa kabhi hijab hun main
Ghazal
KHud sawal aap hi jawab hun main
Abid Munavari