KHud pukaregi jo manzil to Thahar jaunga
warna KHuddar musafir hun guzar jaunga
aandhiyon ka mujhe kya KHauf main patthar Thahra
ret ka Dher nahin hun jo bikhar jaunga
zindagi apni kitabon mein chhupa le warna
tere auraq ke manind bikhar jaunga
main hun ab tere KHayalat ka ek aks-e-jamil
aaina-KHane se nikla to kidhar jaunga
mujh ko haalat mein uljha hua rahne de yunhi
main teri zulf nahin hun jo sanwar jaunga
tez-raftar sahi lakh mera azm-e-safar
waqt aawaz jo dega to Thahar jaunga
dam na lene ki qasam khai hai main ne 'razmi'
mujh ko manzil bhi pukare to guzar jaunga
Ghazal
KHud pukaregi jo manzil to Thahar jaunga
Muzaffar Razmi