ki KHud-numai na tashhir chahte hain hum
bas apne hone ki tauqir chahte hain hum
rihai ka yahi mafhum hai hamare liye
pasand ki koi zanjir chahte hain hum
ye dekhna hai ki raftar kar rahi hai kya
tamam shahr ko taswir chahte hain hum
bahut udas hai koi paDos mein yaro
zara si jashn mein taKHir chahte hain hum
zara si baat jo chheDi huquq ki hum ne
uTha ye shor ki jagir chahte hain hum
hamein banaya gaya hai hadaf ye jaante hain
to kyun nishane pe har tir chahte hain hum
ye toD-phoD zarurat hai koi shauq nahin
nae sire se jo tamir chahte hain hum
bas ek qafiya-paimai hum ne ki hai 'suhail'
so ai ghazal teri tazir chahte hain hum
Ghazal
Ki KHud-numai na tashhir chahte hain hum
Suhail Akhtar