KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the
hum ki apne ru-ba-ru shisha ki ek diwar the
phir nigahon ne bune the chaar su KHwabon ke jal
su-ba-su phir rishta-gar wahm-o-guman ke tar the
muKHtasar sa hai hamara qissa-e-shauq-e-safar
abr-e-awara the hum lekin sar-e-kohsar the
KHanda-rez o girya-gin thi zaKHm-e-KHatir ki numud
dur duniya ke tayyun se mere aazar the
main sawad-e-dasht-e-tanhai ka phalta peD tha
sabz zahr-e-be-kasi se mere barg-o-bar the
bujh gaya tha dil hamara baad-e-sharh-e-arzu
ji ki hum kahne gae to kushta-e-izhaar the
raegan thi apni aab-o-tab bhi kya kya 'razi'
hum ki ek be-marka aur be-adu talwar the
Ghazal
KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the
Razi Mujtaba