KHud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye
sham-e-kushta hun fana mein hai baqa mere liye
zindagi mein to na ek dam KHush kiya hans bol kar
aaj kyun rote hain mere aashna mere liye
kunj-e-uzlat mein misal-e-asiya hun gosha-gir
rizq pahunchata hai ghar baiThe KHuda mere liye
tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah
bagh-e-jannat teri KHatir karbala mere liye
nam raushan kar ke kyunkar bujh na jata misl-e-shama
na-muwafiq thi zamane ki hawa mere liye
har nafas aaina-e-dil se ye aati hai sada
KHak tu ho ja to hasil ho jila mere liye
KHak se hai KHak ko ulfat taDapta hun 'anis'
karbala ke waste main karbala mere liye
Ghazal
KHud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye
Meer Anees