KHud miT ke mohabbat ki taswir banai hai
ek shama jalai hai ek shama bujhai hai
aaghaz-e-shab-e-gham hai kyun sone lage tare
shayad meri aankhon se kuchh nind churai hai
main KHud bhi tapish jis ki sahte hue Darta hun
aksar mere naghmon ne wo aag lagai hai
jab yaad tum aate ho mahsus ye hota hai
shishe mein pari jaise koi utar aai hai
har-chand samajhta tha jhuTe hain tere wade
lekin tere wadon ne kya rah dikhai hai
jo kuchh bhi samajh le ab marzi hai zamane ki
shishe ki kahani hai patthar ne sunai hai
mana ki mohabbat hi buniyaad hai hasti ki
'naushad' magar tujh ko ye ras kab aai hai
Ghazal
KHud miT ke mohabbat ki taswir banai hai
Naushad Ali